
Kam Paison Mein Girlfriend Ko Jhelne Ke Tarike
Mehangai kaafi bad gayi hai bachha, aur aisi kamar tod mehangai mein yadi aapne koi premika banadaali to samjho aapka to kaam tamaam ho gaya. Kintu pyar to pyar hai, aur jeevan mein pyar nahi kiya to kya khaak jiye. To hum apne bhakton ke khoon-pasine ki kamai ko bachane ke liye laaye hain kuch aise tarike ki ab aapki jeb bhi dheeli na hogi aur aap jee bharke raas leela bhi kar sakenge.
1. Hamesha Akele Hi Milo:- Jee haan bhakton, jab bhi apni premika ke saath ishq ladane jaao to hamesha use akele mein hi mila karo. Yadi wo apne saath apne jaisi 2-4 aur kanyaon ko le aayi to tumhari jeb to kati samjho. Ye ladkiyan ek baar khane baith gayi to inki gaadi kabhi bhi nahi rukti bhakton.
2. Hamesha Jaldi Mein Raho:- Jab bhi usse milne ko jaao to hamesha jaldi jaane ka bahana banaya karo, tum jitni jaldi khiskoge, jeb par utna kam wazan padega.
3. Paisa Bhoolne Ka Bahana Banao:- Pehle use milne ko bula lo, phir aadhe raaste se phone karke kaho ki arre mein to apna purse ghar pe hi bhool aaya hun. Wo itna makeup karke aayi hogi ki uski bandariya jaisi shakal kisi hoor ki pari jaisi lagne lagegi. Aur wo ye kabhi bhi bahi chahegi ki uska itna makkeup bina tumse mile vyarth ho jaaye. Aur us din ki party ka kharcha wo swayam karegi….is tarah se saap bhi mar jaayega aur tumhari laathi bhi na tootegi bachha.
4. Soonsaan Jageh Par Milo:- Hamesha koshish karo ki usse kisi soonsaan jagah par hi mila jaaye. Aisi jagah jahan na koi dukan ho na koi hotel. Dhongibaba 100 taka guarenty dete hain bachha, ek paisa bhi kharcha na hoga, aur prem leela bhi khoob rachegi.
5. Use Hamesha Upwas ke Hi Din Milo:- Jee haan bhakton, ye chaal agar tum chal gaye to tumhe tumhare man ki karne se koi nahi rok sakta. Upwas ke din to wo kuch khayegi-piyegi nahi, aur kuch khayegi nahi piyegi nahi to tumhari jeb kya khaak dheeli hogi?
6. Muh Mein Takleef Hai Kaho:- Jab bhi usse milne jaao aur hotel mein baitho to use yahi kaho:- “ui maa, yaar aaj mere muh mein bada dard ho raha hai, mein kuch nahi khaunga piyunga” yadi wo tumhe sachha prem karti hogi to yakeen maano wo bhi kuch na khayegi, aur yadi wo bhukkad khane peene mein aa gayi to samajh lena ki use tumse koi pyaar-vyaar nahi hai. Phir to koi doosari ho dhoondane mein faayda hai.
7. Subah Ke Samay Kabhi Na Milo:- Kisi bhi haal mein use subah ke samay mat milo. Kyunki us waqt ladkiyan khoob khati hain. Zara socho ki wo agar khane baith gayi to subah, dopahar , shaam aur raat…Sabka ek hi time mein kha jaayegi. Aur phir jo bil aayega use dekhkar aapko aapki naani yaad aa jaayegi.
8- Pyar Pakka, Lekin Kharcha Aadha Aadha:- Bachha ye baat apne dimag mein utar lo. Pyar apni jagah theek hai, kintu jab baat ho kharcha karne ki to usmein dono ka 50% hissa hona chahiye. Ye baat aap use uske kaan mein daal do.
Hame aasha hai hamare bhakton ko in upayon ka laabh avashya milega. Aur haan abse jitni bachat hogi uska aadha hissa hame chada dena. Mehengai ne hame bhi bada pareshan kar diya hai, to hum chalte hain, aap sabhi bhaktjano ko Dhongibaba ka Dhong bhara aashirwad!!
Sada Khush Raho!